Tuesday, 2024-March-19, 6:14 AM
Free4allz MainRegistrationLogin
Welcome Guest | RSS
Site menu
Our poll
Rate my site
Total of answers: 83
Statistics

Total online: 1
Guests: 1
Users: 0
Login form
 Urdu Poetry 
Hont Hilaun Kaise

Toot jaye na bharam hont hilaoon kaise
Haal jaisa bhi hai logon ko sunaoon kaise
Wo rulata hai rulaye mujhe jee bhar ke
Meri ankhein hai woh, main us ko rulaoon kaise


Dil Karta Hai Ke Lipat Jaon

 DiL karta hai k Lipat jaon ROOH ban kar Tere Jisam se
K jab Tum se Juda hon to Teri JAAN hi Nikal jaye

Kya Umedein Baandh Kar Aaya

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!

Kuch Pal Is Khuwaab Mein 

Hun To Khafa Us SE, 
Per Janay Phir B Kyun...? 

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai...

Haqeeqat Se Hoon Dur, 
Ye Mujh Ko Hai Pata...

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai...

Qaayel Nahi Main Ronay Ka Phir B Kabhi Kabhi... 

Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai...

Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahey Ga... 

Kuch Pal Is Khuwaab Mein Khona Acha Lagta Hai....!!

Koi Aankhon Se Baat Ker Leta Hai

 Koi Ankhon Se Baat Ker Leta Hai
Koi Ankhon Mein Mulaqat Ker Leta Hai

Bada Mushkil Hota Hai Jawab Dena
Jb Koi Khamosh Reh Ker Sawaal Ker Leta Hai

Us Ajnabi Ka Youn Na Intezaar 

 Us ajnabi ka youn na intezaar karo

Is aashiq dil ka na aitbar karo

Roz nikla karen kisi ke yaad mein aansoo

Itna kabhi na kisi se pyaar kia karo

Koi Na Miley To Kismat Se Gila

 Koi na miley to kismat se gila nhi kartey

akSr log mel kr bi mela nhi krty

har shaakh par bahaar aati hy Zaror

par har shaakh pr phool khila nhi krty

Koi Dikha Ke Roye Koi Chupa Ke

 Koi dikha k roye
Koi chupa k roye

Humain rulanay walay
Humain rula k roye

Marne ka maza to tab hai yaro
Jab qatil bhi Janazay per aa ker roye

Kal Raat Barish

 Kal halki halki barish thi
kal sard hawa ka raqs bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray the
Kal un main app ka aqs bhi tha
kal badal gehray kaale the
Kal chand pe laakhon pehre the
Kuch tukry app ki yaadon ke
Bari dair se dil main thehre the
Kal yaadien uljhi uljhi thien
Aur kal tak yeh na suljhi thien
Kal yaad buhat tum aye the
Kal yaad buhat tum aye the

Mat De Kisi Ko Dua

Mat De kisi ko Dua apni umar lagne ki

"SAQI" 
 
Yahan aise log Bhi hain jo tere liye zinda hain!

Jo Dur Ho Ussey Kbhi

Jo dur ho ussey kbhi juda na samjhna

Jo dil me ho ussey kbhi bewafa na samjhna

Waqt aur haalat majbur kr dety hein kbhi kbhi

Jo intezaar me chup ho ussey kbhi khafa na smjhna

Two Great Poets

Best combination of two great poets!

Faraz Says:

Usay Hum Yad Aatay Hain Mager Fursat K Lamhon Mein

Mager Ye Baat Bhi Such Hey Usay Fursat Nahi Milti

Perveen Shakir Says:

Hum Tasleem Kartey Hain Humain Fursat Nahi Milti

Magar Ye Bhi Zara Socho Tumhain Jab Yaad Kartey Hain
Zamana Bhool Jatey Hain

Muskuraaney Ki Aadat 

 Muskuraaney ki aadat bhi kitni mehengi pari hum ko
Chor gaya wo ye soch kar ke hum judai main bhi khush hain

Loog Dilon Mein Jaga

 Loog Dilon mein jaga kaisey bana Letey hain 
Hum tö unki Zubaan pe apna Naam tak na La sakey

Umer Bhar Hum Yun

 Umer Bhar Hum Yun Hi Ghalti karte Rahe

Ghalib

Dhool Chehre Pe Thi Aur Hum Aaina Saaf Karte Rahe



Tujh Se Bichar Ke Hum

 Tujh se bichar ke hum bhi muqaddar ke ho gaye

phir jo bhi dar mila ussi dar ke ho gaye

ae yaad-e-yaar tujh se karein kya shikayatein

ae dard-e-hijar hum bhi to pathar ke ho gaye

rotey ho ek jazeera-e-jaan ko "faraz" tum

dekho to kitne sheher samandar ke ho gaye

Kab Tak Raho Ge Aakhir 

 Kab Tak Raho Ge AakhiR Yun Dur Dur Humse

Milna Pare Ga Aakhir ik Din Zarur Humse

Daman Bachane Wale ye Berukhi Hai kesi

keh Do Agar Howa Hai koi Qasoor Humse

Hum Chor Denge Tumse yun Baat Cheet karna

Tum Pochte Phiro Ge Apna Qasoor Humse

Wo Mastiyaan Karna

wo mastiyan karna class main teachers ko satana
chalti hui lecture main sir ko chocolate khilana
test main 1st aana
our doston ko chirana
har bat par larna or manana
yaad aati hain wo batein
exams ke waqt teachers ke peeche bhagna
friends ki note book se apne liye notes banana
papers main wo sath parna
yaad aati hain wo batyein
fair well ki party main seniors ka mazaak urana
wo rona wo rulana
yaad aati hai wo batein
wo mastiyaan karna class main teachers ko satana

Ehsaas

ehsaas hai mujhe tere ghum ka
par main bhi to khush nahi

har pal tu roya hai
hasi to mere lab par sai bhi chin gayi

zindagi ki aas na rahi tujhko
main to zinda rehkar bhi mar gaya

kese khush rahun main teri us mohabbat bhari zindagi main
jisme main to kuch nahi magar meri mohabbat bhi kuch nahi

Do Chaar Nahi Mujhko 

Do chaar nahi mujhko faqt ek dikha do
Wo shakhs jo bahar say bhi andar ki tarha ho

Takhleeq-e-Qayenaat

 TAKHLEEQ-E-QAYENAAT ki ye reet bari niraali hai

"Faraz" 

jo ho na sakey apna
muhabbat bhi ussi sey hoti hai

Us Ne Ye Soch Kar Alwida

Us ne ye soch kar alwida keh diya

"Faraz"

Ke ye ghareeb loog hain Muhabbat ke siwa kiya dengein?

Toot Jaye Na

Toot Jaye Na Bharam Hont Hilaoon Kaise
Haal Jaisa Bhi Hai Logon Ko Sunaoon Kaise
Wo Rulata Hai Rulaye Mujhe Jee Bhar Ke
Meri Ankhein Hai Woh, Main Us Ko Rulaoon Kaise

Search
Calendar
«  March 2024  »
SuMoTuWeThFrSa
     12
3456789
10111213141516
17181920212223
24252627282930
31
Entries archive
Site friends
  • Create a free website
  • Online Desktop
  • Free Online Games
  • Video Tutorials
  • All HTML Tags
  • Browser Kits
  • Copyright MyCorp © 2024Make a free website with uCoz